Ghar.. Poem by abhilasha bhatt

Ghar..



Ghar..
Kisi ka bada
Kisi ka chota
Ghar..
Kisi ka aalishaan
Kisi ka bas makaan
Ghar..
Kisi ka bhara
Kisi ka khali
Ghar..
Kisi ka mehlon sa
Kisi ka ujaadon ka
Ghar..
Kisi ka char manzila
Kisi ka bhoo tal
Ghar
Kisi ka gali main
Kisi ka sadak par
Ghar
Kisi ka bangla
Kisi ka jhopda
Ghar..
Kisi ka khud ka
Kisi ka kiraye ka
Ghar..
Kisi ka bas paison ka
Kisi ka rishton ka
Ghar..
Kisi ka ek baar main
Kisi ka kishton main
Ghar..
Kisi ki chahton ka
Kisi ki raahton ka
Ghar..
Kisi k sapnon ka
Kisi k apnon ka
Ghar..
Kisi k waadon ka
Kisi ki yaadon ka
Ghar..
Kbhi patharon ka
Kbhi shaakhon ka
Ghar..
Chahe insaanon ka
Chahe panchiyon ka
Ghar..
Sang-e-marmar ka
Ghar main rehne walon ka..

Thursday, January 7, 2016
Topic(s) of this poem: home,life,people
COMMENTS OF THE POEM
Gajanan Mishra 07 January 2016

wonderful, wonderful, wonderful really.. real poet.. thanks..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success