Hartaal - I Poem by ramesh rai

Hartaal - I

Hartaal

AAj hartal hai
Sabhi dukane, school, college aur daftar band hai
Bachhe sabhi khush hai, aaj unhe school nahi jana hai
Shrimati bhi khush hai, aaj koi jaldibaji nahi hai
Bachhe, yuva aaj bepanah khush hai
Har raste, chaurahe cricket ka maidan bana hai
Kyoonki sahar ka har maidan
Ab mall centre ya stadium ban gaye hain
Isse achha maidan ab kahan hai
Jab raste sunsaan ho
Har motor gadiyan bhi aaj bishram kar rahi hai
Rail yatri pareshaan hai kyoonki
Gadi ayeshi jagah par khari hai
Jahan pani bhi naseeb nahi hai

Janata ko bhi purna biswas hai
Kuchh naya nahi hone wala hai
Yeh to ekmatra kshamata ka pradarshan
Ya phir kisi samasya k nidan ka nirarthak prayas

Hartal main kuchh ko chhoot hai
Jaise aspataal, dudh ki gadiyan aur samsaan
Samssan hi ek matra jagah hai
Jahan kabhi hartal nahi hota
Kyoonki yehan par sabhi ki kshamata
Chaknachoor ho jati hai aur
Samast samasyaon ka nidan swyam ho jaata hai

Hartaal ka aadesh yedi koi nahi manata
To wah hai pet, kash! pet bhi ek din ka hartal karta
Phir sabhi samsyan apne aap door ho jaati

Phir bhi hartal to kahin n kahin roj manaya jaata hai
Jahan prakaash bhi pravesh karne se darta hai
Bhhokh bhi apna daaman chhooda kar bhagana chahata hai
Siksha bhi jaane se katrati hai
Maut bhi apna palloo jhade rahata hai
Aur wey jinda hai
Yeh jeevan jise ishwar ne unhe baksha hai
Use sanjoye baithe hai
Srishti ki paribhasha ko byakta karne ke liye
Jahan kabhi bhi hartal nahi hota
Kash! Surya Chandra aur tare bhi
Ek pal ke liye hartal karte
Phir prithavi ki samst samasyaon ka nidaan
Ek saath ho jaata

Phir bhi hartal to hartal hai
Chahe koi public stunt
Ya koi drama ya koi trauma
Kuchh n kuchh to visheshta hai iski
Tabhi to bade bade diggaz hartal par baithte hai
Chahe kisi ka banta ya bigadta kyoon n ho
Diggaz to aur bade diggaz ban jaate hai
Aakhir mein hartal ka avishkarak kaun hai
Jiske aaane se khushi ki lahar daur jaati hai
Aur jaane par bhi, kyoonki hartal purna safal raha
Hartal bhi apne aap mein pasheman hai
Aakhir mein wah kiska hai
Kaun vastawik davedaar hai
Pratipaksha ya vipaksha
Dono samay samay par ise apnaate hai
Hartal phir aane ka wada kar jaata hai.

COMMENTS OF THE POEM
Shahzia Batool 03 October 2012

boht achhi or natural si nazam likhi aap ne yeh roz roz ki hartaal k baaray mein, sub to theek he lekin yeh shrimati ka khush hona samajh mein nhi aaya...ziada tr tou iss baat mein hi khush rehti hen k woh jaen tou araam se drama dekhen ya fone pe baat karen...

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success