Haryali Se Bhara Peyar Ka Rasta Poem by Akhtar Jawad

Haryali Se Bhara Peyar Ka Rasta



HaN wuh natkhat kanhaiya
aor uske madhuban ki haryali,
uski bansi se nikli taneN,
uska sanwra salona rang,
aor Radha ke gore gore ang,
kweyuN na Radha hoti matwali?
Haryali hi prem hay,
haryali ji jeevan hay,
nahin chahiye Radha ko doodhiya chandni,
nahin chahiye use saraswati ki beena ki tanen,
nahiN chahiye use masjid se nikalti azaneN,
NahiN chahiye mandir meN bajti ghantiaN,
whu murli se jalti bhi hay,
aor uski tan sunkar ghar se nikalti bhi hay,
Radha ne beopar nahiN kiya hay,
Radha ne peyar kiya,
Koi dharm koi adarsh,
koi reet koi riwaj,
Radha ko rok nahiN sakti,
Jab bhi wuh murli ki tan sune gi,
wuh apne kanhaiya ke pas jaye gi,
peya aysa hi hota hay,
peyar aise hi hota hay!

This is a translation of the poem Green God Pp Me by me poet yeps poet
Saturday, May 9, 2020
Topic(s) of this poem: godspeed,poem,poet,poetic expression,spirituality
COMMENTS OF THE POEM
Me Poet Yeps Poet 09 May 2020

nicely done nicely done now ENGLISH TRANSLATION ASK RM RAJNISH MANGALA

0 0 Reply
Close
Error Success