Hindi: Bas Itna Bata Do... Poem by .Pd. is here

Hindi: Bas Itna Bata Do...

Rating: 2.4


Dabey paav zindagi mein aakar
Ab yeh kaise shor macha rahe ho
Kya apne anokhey andaaz mein
Mujhe pukar rahe ho?

Apne shabdo se, kavita se
Kaise uljhan mein bandh rahe ho
Bas itna bata do ki yaad kar rahe ho
Ya yaad aa rahe ho?

Chor to nahi ho
Par kar baithey na chori
Meri hi soch
Ab rahi na meri.

Dabey paav zindagi mein aaye
Ab kuch apne se lagte ho
Kya tum bhi mujhme
Kuch kho se gaye ho?

Kyu mili main tujhse
Kya yeh sangam zaroori tha
Par lagta hai, bin milke nahi samajhti
Kya maine khoya hota

Hasaatey ho, rulaatey ho
Aur har ghadi satatey ho
Bas itna bata do yaad karte ho
Ya yaad aa jaatey ho?

Musibat haath dhokey pichey hai padi
Par yeh musibat maine hi ki hai khadi
Shayad maine hi sun liye
Jo tumne kabhi kaha hi nahi

Adhuri thi, par tooti nahi
Yeh sapna hi to hai, tod do iss jald hi
Laut jau uss bin mausam barsaat ki tarah
Bhiga ke mera angan, mehkakey yeh sama…

Nahi to main bikhar jaongi
Mala ke motiyon ki tarah
Baatein ghuma ke kartey ho
Aur chahtey ho seedha jawab mera?

Tumhe kya dosh du,
Jab main hi hu apradhi
Maine hi khidhki darwaazey kholkar
Tufaan ko kiya amantrit

Ab darwaazey khidkiyaan band kar dungi
Koshish karke tumse dur ki rahungi
Par kya tum unhe tod kar phir milogey mujhse
Apne aap se to umeed nahi hai, kya umeed karu tujhse…

Bas itna batao do
Kya koi galti hui hai mujhse?

(14 March 2008)

COMMENTS OF THE POEM
rohit sapra 14 March 2008

Amazing poem. It is really well written.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success