Hoon Aaj Mai Choor Bus Nashe Mein … Poem by Tapashya Das Sinha

Hoon Aaj Mai Choor Bus Nashe Mein …

Rating: 2.8

Hoon nashe mein aaj,
To ye duniya,
Ye log,
Sab apne the,
Thi hosh mein kal,
To ye duniya,
Ye log,
Sab sapne the…
Aaj hoon majboor,
Aaj hoon nashe mein choor,
Kyu ki,
The jo kal paas mere,
Aaj sab hai
Kitne door, kitne door, kitne door…
Aaj hai nashe me bandh
Ye nigahein,
Aaj hai magan madhosh
Ye bahein,
Roya beshumar jo dil tha,
Aaj nashe ne us dil ko haansa diya,
Bhool gayi wo pal
Gam ke,
Kyu ki
Hoon aaj mai choor bus nashe mein…
Gam ki botal mein jab bandh thi
Meri wo shaam,
Thi tanha
Hoke bechain
Apne hoontho se lagaliya
Paimane ki wo sunheri jaam,
Anjaam se thi anjaan
Tha mere hoontho pe
Bus ek uska hi naam,
Hoke madhosh,
Hoon aaj mai madhushala mein,
Bhool gayi wo pal gam ke,
Kyu ki
Hoon aaj mai choor bus nashe mein…
Dil mein liye dard,
Aaj bhatakti hoon mai dar dar
Un bedardon ke aashiyano mein,
Nakare ye zalim duniya mujhe,
Doob chuki hoon mai
Is nafrat ki dariya mein…
Aaj hoon mai aur meri jaam
Hai ek ye
Khubsurat anokha shaam,
Jab mere aansu ghul jate
Us sharaab ke paimane mein,
Peekar har ghoonth wo zakham ke
Bhool gayi wo pal gam ke,
Kyu ki
Hoon aaj mai choor bus nashe mein…
Kuch khaas hai
Un jam ke boondo mein,
Jab dil se guzre to khub jalaye,
Gam ke dard se lipte
To khub rulaye,
Nashe mein hoon aaj mai is qadar,
Dadmaga rahi hai mere khwahishon ka dagar,
Magar;
Khush hoon aaj mai nashe ki sagar mein,
Bavli hui hoon nashe ki keher mien,
Bhool gayi wo pal gam ke,
Kyu ki
Hoon aaj mai choor bus nashe mein…
Khud mai nasha thi kisi ki,
Aaj ek saza hoon,
Shayad thi meri khata jo
Aaj mai akeli hoon…
Mera nasha hai nashe me choor,
Aaj hoon majboor
Kyu ki,
The jo kal paas mere,
Aaj sab hai
Kitne door, kitne door, kitne door…
Berukhi ke us pyale me
Doob chuki hoon main,
Peekar wo pyaala jaam ka,
Bhool gayi wo pal gam ke,
Aaj sun na paoon
duniya ki baat,
hoon aaj mai nashe mein,
bus sun rahi hoon khamosh,
dil ki baat...
bin uske,
kya din kya raat,
aaj hoon nashe mein
mai, mere lafz,
bin ruke bol rahi hai ye
bus dil ki baat...
doob chuki hoon mai
uske aashiqi ke pyale mein,
bus chuki hoon mai, meri tanhai,
uske chahat ke madhushale mein,
kya batau duniyawalon,
kaun hoon mai,
hoon to insaan hi,
per kisi ki jaan hoon mai...
hoon aaj uske nashe mein choor,
hoon aaj mai nashe mein,
bhool gayi hoon wo sare pal gam ke,
kyu ki,
hoon aaj mai choor bus nashe mein...

COMMENTS OF THE POEM
Aftab Alam Khursheed 19 December 2013

achhi koshish hai thank you

3 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success