In Praise Of Poetry, A Hindi/Urdu Poem Poem by Ravi Kopra

In Praise Of Poetry, A Hindi/Urdu Poem

Apna naam chamkane k liye
kya tum kavita likhtay ho?

Tum ko angrezi aati hai
ye dekhane k liye kavita liktay ho?

Mohabbat bina dil bahut dukhi hai
kya aisi kavita likhne aate ho?

Bahut tum aqalmand ho
apni aqalmandi ki kavita jhaDne aate ho?

Ya hum bhi koee kam nahin hain
Is liye kya tum kavita likhtay ho?

Mujh ko is ki koee samah nahin
lakin itna zaroor pata hai -

Kavita-vavita tum ko na to
likhnay aati hai, na hi koi samajh paate ho

Apni aur apne desh ki moorakhta ko
tum kaafi log yahan din raat chakar lagate ho

Mere desi paki bhaiyo, behno, ek baat fir se kehta hoon
likhne se pehle, kuch paDo aur samjho kya kavita tum samajh pate ho

har kavita tum ko samajh main na aaye gi
kyon har kavita ki prashansa main apni bewakoofi dikhla tay ho?

Tuesday, May 15, 2018
Topic(s) of this poem: poems,poetry,poets
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success