Jaante Hain Poem by Suhail Kakorvi

Jaante Hain



Ham bakhoobi tere sab hheelao fan jaante hain
Log to sirf tujhe wada shikan jaante hain

Ye siyasat hai ajab chup hain batate bhi nahin
wajhe paamaaliye gul ahle chaman jaante hain

Go chale chand qadam bhi shanaasa hain zaroor
Rehrawe rahe mohabbat ki thakan jaante hain

Koi pooche bhi to batlayen na usko ye kabhi
Aaj koi hai tere mathe pe shikan jaante hain

Wo hain nakaam ki jinko nahin kehne ka shaoor
Surkhru wo hain ki jo tarze sukhan jaante hain

Fasle rakhe hain ye fasle rehne ke nahin
Tere jazbaat ko ham shola badan jaante hain

Ham to rehte hain sada isliye hushiaar Suhail
Kisqadar shokh hai us yaar ka man jaante hain

Heelao fachalakian.wada shikan=wada todne wala, pamaliye gul =phoolon ka raunda jana, ahle chaman, Baagh me rehne wale, shanaasa=jaankaar, rahraw=pathik, shikan=bal, shaoor=samajh surkhru=saphal, Shola badan=aag rakhne wala shareer
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - Suhail Kakorvi

Thursday, May 21, 2015
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success