Jab Samay Ki Dhara Ruk Jayagi [poem In Hindi] Poem by Om Chawla

Jab Samay Ki Dhara Ruk Jayagi [poem In Hindi]



Jab samay ki dhara ruk jaayegi
Aur mitt kar ghul jaayega yeh tan,
Hava paani ya agan mein,
Ya raakh hi ban kar pada rahega
Kahein pathh par tere;
Mitt jaayega jab tan yeh mera
Aur jeevan ke uss paar
Bhatakti hogi aatma meri,
Tab kya hoga mann ka mere,
Kya yeh bhi mar jaayega?
Yeh koi tann toa nahin,
Aur na hi koi aakar hai isska,
Yeh jo vyaakul ho uthta hai,
Nainon ki maadakta se teri;
Tere hi sparsh ki khatir
Har pal
Har chhin
Hai sapne bunnta
Aur tadapta
Kya hoga iss mann ka priyay tab
Samay ki dhara ruk jayagi jab.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success