Jalwae Subhe Eid Poem by Suhail Kakorvi

Jalwae Subhe Eid

Husn men apne yaar mera hai subhe eid ka jalwa
Wo hai mukammal, uske siwa hai subhe eid ka jalwa

Tu iski tarteeb men shamil rukh ki tajalli bhi karde
Dekh murattab hone laga hai subhe eid ka jalwa

khoone wafa ki qurbaani se iski fizaen rangi'n hain
Shukr kiya sajde menjhuka hai subhe eid ka jalwa

Aks main jiska samjha tha wo khud hi numaayan hai ismen
Haan meri maqbool dua hai subhe eid ka jalwa

kaun ye aaya jiski adayen kaif ke samaa'n layi hain
Phool ki tarha khil uttha hai subhe eid ka jalwa

jaanon ka hangama dekho aaj nishate rooh hai ye
kya main bataun tumko ki kya hai subhe eid ka jalwa

Jis se har ek dil shadan hai tafreeq kahin par koi nahin
Aalam ko paighame wafa hai subhe eid ka jalwa

Meri rage jaa'n me hulchal hai mujhko suhail ye lagta hai
koi shararat soch raha hai subhe eid ka jalwa
- - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - - -Suhail Kakorvi


MUKAMMAL=SAMPOORNA, TARTEEB=WAYWASTHIT, MURATTAB= WAYWASTHIT HONE KI KRIYA, FIZAYRN=WATAWARAN, AKS=CHAYA
MAQBOOL DUSWEEKRIT PRARTHNA, NISHATE ROOH=AATMIK HARSH, SHADAN=PRASANN, TAFREEQ=BHED BHAW, AALAM=SANSAARR, RAGE JAA'N=JEEWAN DHAMNI

Jalwae Subhe Eid
Thursday, September 24, 2015
Topic(s) of this poem: love and life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success