Kavi Se Kehti Kavita Poem by Rishi Thakkar

Kavi Se Kehti Kavita

Rating: 5.0

Kavi se kehti kavita, meri rachna tum kyun nahi karte,
kuch mujko kehna hai sabse, apne shabdo ke aanchal mein kyun nai mujhko dhakte,
ek pariwartan duniya mein le aaun yehi sapna le ke khayalo mein kavi ke aati hoon,
shrotaon aur padhne waalo ko chand aksharo se kuch zahir kar jaati hoon,
meri mohabbat hai chipi mere sandesh mein, jisko saksham banata kavi apne kalam aur shyahi se,
vichaaro ki abhivyakti yun tum kar jaate ho, mere bhavon ko ek aashiq sa padh kar pyaar kavitaon sang rachate ho.
jaane kitni bhavnaon ka charitra chitran tum karte jaate ho,
mere ek khayal ko kitne visheshan, alankaar sang sajate ho.
kehte hai ki kavita keval, kavi ki ek kalpana hoti hai,
main kehti hoon kavita, kavi ki pehli aur aakhri mohabbat hoti hai.
wo mohabbat jo keval dena jaanti hai, sirf khayal aur bhav ko poori duniya samaksh surya ki kirano sa failaati hai...

Tuesday, April 25, 2017
Topic(s) of this poem: love,poem,poet
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 18 July 2019

Bahut khoob he, Rishi gi. You may like to read my poem, Love And Iust. Thank you.

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 26 April 2017

A simple and beautiful write.....liked it :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success