Ki Raat To Apni Hai.. Poem by abhilasha bhatt

Ki Raat To Apni Hai..

Rating: 5.0

Aj suna kuch logon ko kehte hue
Ki raat to apni hai
Raat to andhere ki hoti hai
Raat to tanhaai ki bhi hai
Raat to khamoshiyon ki bhi hai
To andhera bhi to apna hua
Phir kyun raat k andhere main chlte hue dar lagta hai unhe
Tanhaai bhi to apni hui
Phir tanhaai ka safar bojhal kyun lagta hai unhe
Kyun tanhaai dard ki tarah mehsoos hoti hai unhe
Khamoshiyan to aashnaa hai
Tanhaai aur andhere ki
Phir ye bhi to kahan gair hui
To kyun inhain khamoshi chubhti hai
Kyun bin kuch kahe ek pal k lie bhi chup nhi baith paate ye log
Kyun khamoshi ko guroor ya seedhepan ka naam dete hain
Apni sahooliyat k anusaar
To matlab har apne se dar lagna chahie
Kyun aakhir….apne to dil k kareeb hote hain
Bahut hansi aati hai kbhi kbhi
Mano koi latifa pad lia ya sun lia ho
Latifa hi to hai zindagi ka
Apna jinhe kehte hain
Aur Apnon se dar lagta hai
Darna bhi to chahie
Zyada chot apne hi to dete hain
Zyada dard bhi apne hi to dete hain..

Sunday, January 10, 2016
Topic(s) of this poem: fear,life,night
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 11 January 2016

Kyun aakhir….apne to dil k kareeb hote hain Bahut hansi aati hai kbhi kbhi Mano koi latifa pad lia ya sun lia ho Latifa hi to hai zindagi ka.................Awesome.10+++

0 0 Reply
Rishi Thakkar 11 January 2016

Kyun duniya mein aksar aisa hota hai.. Jisse mohhabbat karna Chahe dil wohi humein tanhaa kar deta hai.. Andhera to pyaare lamho ko aur yaadgar banane ka sandesa deta hai.. Par kyun aksar yaadgar banane wale isse dard ka thikane pahucha dete hai.. Anjaane kabhi meethi hasi de jate hain..apne kyun begana banate hain

0 0 Reply
Rajnish Manga 10 January 2016

बहुत सुंदर कथन. रात तो अपनी है, रात अँधेरे की भी तो है. अतः अँधेरा भी तो अपना हुआ. इतनी कठिन equation आपने इतनी आसानी से समझा दी. वाह! इनके साथ चलने वाली खामोशियाँ व तन्हाईयाँ भी कहाँ ग़ैर हुईं. जीवन की समीक्षा करते कुछ उद्धरण प्रस्तुत कर रहा हूँ जो मुझे विशेष रूप से अच्छे लगे. धन्यवाद. Latifa hi to hai zindagi ka / Apna jinhe kehte hain / Aur Apnon se dar lagta hai /...Zyada chot apne hi to dete hain / Zyada dard bhi apne hi to dete hain..

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 10 January 2016

Raat to andhere ki hoti hai Raat to tanhaai ki bhi hai Raat to khamoshiyon ki bhi hai To andhera bhi to apna hua Us andhere se kaisa darna jo waqti hai... bohot hi khoobsurat nazm Abhilasha. Aise hi likhte rehna, Allaah zor.e kalam se nawaaze.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success