Kitne Hi They Safar.. Poem by abhilasha bhatt

Kitne Hi They Safar..

Rating: 4.5


Chalte hi rahe
Kitne hi they safar
Tey kie hamne sabhi
Har rah har dagar
Mud kar dekha nahi
Hamne peeche kabhi
Na hi kisi ne pukaara
Naam hamara peeche se kbhi
Rishtey bhi they naate bhi they
Chahate bhi they matlabi bhi they
Kehne ko kunbaa tha bhara mera
Magar dil k kunbe ko jo bharta
Aisa koi apna nhi mila mujhko kabhi
Main akela nhi
Sath hai mere mera akelapan abhi
Main Chup nhi
Sath hai mere meri khamoshi ab bhi
Sharminda nhi
Bas sar jhukaye hoon main abhi
Boola nhi
Hain sath teri chahtain bankar yaad ab bhi
Gawaya kuch nhi
Bas maanga hi kuch nhi kisi duaa main kabhi
Pyasa ab main nhi
Bas zeher peekar gala bhar lia hamne abhi..

Thursday, February 18, 2016
Topic(s) of this poem: journeys,life
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 18 February 2016

rokney ki koshish hi nhi ki kisiney.... mein to tadap raha tha na janey ko.... ek baar keh to dete ki aaogey tum..... kisi bahaney sey tal deta aapni maut ko...... grrt penned mam ji

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 29 August 2016

wah..bahuth khoob maza aagaya padhney me..

0 0 Reply
M Asim Nehal 19 February 2016

Dil ko choo jaane wali ek behtareen nazm.....Khabhi khud ko kabhi halaat ko........Kisko dosh de hum...10+++++

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 19 February 2016

Rishtey bhi they naate bhi they Chahate bhi they matlabi bhi they Kehne ko kunbaa tha bhara mera Magar dil k kunbe ko jo bharta Aisa koi apna nhi mila mujhko kabhi Karwa sach zindagi ka...bas khud se dosti karlo to kissi ke mohtaj nahi rahenge. very touchy poem.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 18 February 2016

Safar jari hay agar to ek na ek din koi humsafar aysa mil hi jata hay jo manzil tak sath deta hay. Ek sunder prabhavit karne wali kavita.

0 0 Reply
Souren Mondal 18 February 2016

Har safar me tanha chalte rahe hum... Na jaane kab ye manhoos tanhayi hi humsafar ban gayi... Sukhriya Abhilasha.. A brilliant poem here..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success