Kuchh Bahane Poem by Pushpa P Parjiea

Kuchh Bahane

Rating: 5.0

Kuchh bahana de de aie zindagi

Ji janeko mai lalchaun.

Dukhon se bhari is dunia me

kuchh pal khushi ke bhi main paun.

Dar -badar bhatakti vicharon ki

Is hawa ko rok kar main, ise adig parvat

shinkhla ka sundar swaroop de paun

Jisase na tut aashtha or vishwas ka

daman mujhase or na kamjor mai

kahlaun.

Jab janm leta hai jami par insa

Tab hi sath chalti hai uske garm or sukun ki

thandi hawa

Dete hain dard garm hawaon ke aalam

To romanchit kar jati hai thandi

hawaon. ki thirkan.

Sath gar eshwar mile tera to sarvatra

hai chain or aman.




(mere pathako se nivedan hai ki yahan garm or thandi hawa ka aashay kripaya jivan ke

sukh or dukh. Hi len

Sunday, November 3, 2019
Topic(s) of this poem: life
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Life
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 02 January 2020

पंक्तियों में शब्द ऐसे जुड़ गए हैं कि पढना मुश्किल हो जाता है. उदहारण स्वरुप नीचे की दो पंक्तियाँ देखें: Jisasenatuteashthaorvi shwaska damanmujhaseornakamjormai

2 0 Reply
Rajnish Manga 02 January 2020

Dukhon se bhari is dunia me kuchh palkhushi kebhi mainpaun.... //.... Bahut sundar kavita jisme jiwan ki uhapoh tatha talkh sachchai dekhne ko milti hai. antt mein kuchh achchha ho is baat ki Ishwar se aas lagai gayi hai. kavita hrtu dhanywad, bahen.

1 0 Reply
Rajnish Manga 03 January 2020

मैं आपके कथन से पूरी तरह सहमत हूँ बहन,

0 0
Pushpa P Parjiea 02 January 2020

Bahut bahut dhanywad bhai.. Bade bade dukhon se jab insan thak haar jata hai tab shayad ishwar aage uske sath kuchh achha karenge is aasha me hi insan ki sanse chalte rahti hain bhai.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success