Vande Mataram Poem by Pushpa P Parjiea

Vande Mataram

Rating: 5.0

Ek kampan si ho jati hai

Ek lahari si uth jati hai

Jab jab dekhun maa bharti teri tasveer

Hirday veena jhankrit si ho jati hai

Uthata hai tufaan jahn me tere prem or bhakti ka

Or jab jab karu matribhumi mai bhakti teri

Ek khumari si mann me chha jati hai

Meri maa teri garima ko ham bachche tere shish navate hain,

Kabhi kami na aane denge ye kasam aaj ham khate hain

Meri ganga meri jamuna jo basi hai sirf tujhme

Wo himala vo kanchanjanga ka vidhi ne kiya vistaar tujhme

Jise dekh dekh fule naa samaye ye ham sab bachche tere

Tujhme srishti ki sugandh samai naz karte hain ham tujhpe

Vishw me jo kahin nahin wo gyan bhandar bhare hain tujhme., dharm, gyan vigyan or sanskaar sabhi to tujhse hi milte hain hame.

Kabhi manaye aazadi ka din kabhi gantantra divas ke jhande fahrayen kar prnam pyare tirange ko ham bharat vasi sada hi natmastak ho jayen.

COMMENTS OF THE POEM
Rohan Bendre 12 February 2023

Bahut hi badhiya deshbhakti ki kavita hain. Apna prayas jari rakhna aur kavita ke dwara logon ko jagrit karna

0 0 Reply
Rajnish Manga 04 February 2023

Deshprem se bhari ek khubsurat kavita. Dhanyawad evam badhai, Pushpa Bahen.

0 0 Reply
Pushpa P Parjiea 04 February 2023

Thanks alott bhai Kavita ki khoobsurti se navajne ke liye apka mann se aabhar vyakt karti hun

0 0
Pushpa P Parjiea 04 February 2023

Thanks alott bhai ji bhai ham bhartiy. Prvasiyon ki dil me bas

0 0
Rajnish Manga 04 February 2023

Excellent expression of patriotic fervour in the wake of India's Republic Day (January 26) . Thanks a lot.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success