Sukhi Patti Hari Patti Poem by Pushpa P Parjiea

Sukhi Patti Hari Patti

Rating: 5.0

Sundar hai syaahi(ink)  teri ya sundar mere ye alfaz hain

Teri srishti ki sundrata mere eshware badi hi bemishal hai 

Na soch sakti thi jiske bare me eise eise rango se tere is brhmand ka ye nikhar hai

Pedo par rahne wale patte or pedo se  girte sukhe patte jisme nahi kahin samanta ka saar hai

Fir bhi jivan bagiya ki woo bahut badi mishal hai
 
Pedo k patte hare hare se jisme jivan ka  ullas  hai Sukhe patton  se,

nikla jivan or mano ulti udi bayar hai
 
Ek me jivan ramta duje ko jivan se na pyar hai

Kuchh dhoo rahe jivan ka bhar, koi mang rahe udhdhar hai
.
Hare patte haste sukhe patto par kintu unhe kahan ye khayal hai..
 
Ek din haal bhi unka ye hi hoga jise giraye ye bayar(hawa)hai 


Parivartan hi hai jivan ka niyam kahan kisi ka bhi ek hi tarah ka haal hai

So tu prani kar samarpit jivan sabki sewa me ye hi samay ki mang hai
 
Badh aage kar sewa or paa le punya dhan jab tak tujhme  harra singar hai 


(Yahan jhad me Patton se manushya ki umra se tulna ki hai hai)

Sunday, April 21, 2019
Topic(s) of this poem: abc
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
ABC
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 22 April 2019

A refined poetic imagination, Pushpa p parjiea. You may like to read my poem, Love And Iust. Thank you.

0 0 Reply
Rajnish Manga 21 April 2019

Sukhi Patti Hari Patti (Dry Leaves Green Leaves) प्रकृति के दो रूपों के प्रतीकात्मक आधार पर आपने जीवन की धूप-छाँव का सुन्दर वर्णन किया है. बहुत बहुत धन्यवाद, बहन.

1 0 Reply
Pushpa P Parjiea 22 April 2019

Ji bhai Jivan me kuchh varshoi me San badlta rahta hai yahan take ki hamara Sharif tak samyanusar apna swaroop badalta rahta hai...bahut bahut dhanywd bhai is kavita ko pasand karke uspar etane bariki se dhyan diya or comment diye

0 0
Rajnish Manga 21 April 2019

A superb poem. It describes the changes in our lives through nature around us. Thanks for sharing.

1 0 Reply
Pushpa P Parjiea 22 April 2019

Thanks aloft bhai...

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success