Maine Insaano Ko Badlte Dekha Hai Poem by Ahatisham Alam

Maine Insaano Ko Badlte Dekha Hai

Khushi sath ho na ho,
Gham ko hmesha sath chalte dekha hai
Zindgi ke urooj ko bhi
Zawaal me dhalte dekha hai.

Ek tukda roti ka brbaad ho to
Dil me dard hota hai
Wo dard tum kya jano
Ki bhukhe pet koi kaise sota hai
Maine bhukhe bachcho ko
Ek tukda roti ke liye machalte dekha hai
Khushi sath ho na ho
Gham ko hamesha sath chalte dekha hai

Koi ameerzada jb khwaab kharidta hai
To kisi gareeb ki aankho me bhi
Koi armaan palte dekha hai
Fir agle hi pal
Us armaan ka dam nikalte dekha hai
Khushi sath ho na ho
Gham ko hamesha sath chalte dekha hai

Koi matlab ho to
Log khiche chle aate hain
Beshumaar taareefen krte hain
Baaten banaate hain
Khudgarz zamaane ko is alam ne
Kai baar rang badalte dekha hai
Khushi sath ho na ho
Kya ab bhi fark padna chahye?

Sunday, June 7, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success