Manqabat E Maula Ali Karamallahu Poem by Ahatisham Alam

Manqabat E Maula Ali Karamallahu

Zaamin hain Rasul jiske wo zaat e wala Ali hai.
Aur Ali kr den nazar e karam jispe to ye bashaarat hai ki wo wali hai.

Mai is qaabil to nahi ki unki shaan e aqdas bayaan karun
Mere aaqa ki jo mahakti hui kali hai.

Kaabe ke taqaddus pe nigaahe bad jab bhi uthi hai
Talwaar e haq mere maula ki uspe chali hai.

Teer aisa ki dard jiska qaabil e brdaasht nahi
Qurb E Khuda me nikla jb to pata na chala ye namaaz e Ali hai.

Maula na dubaa ishqe duniya me is alam ko
Apne qadmo me jagah dedo is dil ki tamanna ye bhali hai.

Zaamin hon Rasul jiske wo zaat e waala Ali hai.

Tuesday, April 8, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success