Mera Rahnuma Poem by Bano Ali

Mera Rahnuma

Rating: 5.0


Main use sochti to hoon lekin,
Isqadar sochti nahin ke kabhi,
Woh mahaz soch ban ke rah jae.
Main use chahti to hoon lekin,
Isqadar chahti nahin ke kabhi,
Woh mahaz chah ban ke rah jae.
Main use dekhti to hoon lekin,
Isqadar dekhti nahin ke kabhi,
Woh mahaz deed ban ke rah jae.

Uski chahat ke kutch taqaze hayn,
In taqazon meyn dhoondhti hoon use,
Woh tasawar nahin haqeeqat hay,
Aur haqeeqat meyn khojti hoon use,
Kohe faran se noor jo chamka,
Uski kirnon meyn dekhti hoon use.

Falsafi mayn nahin, muhabbat hoon,
Main sharafat hoon, main sadaqat hoon,
Mayn amanat hoon, mayn deyanat hoon,
Mayn musarrat hoon, mayn hi rahat hoon.
Aap jis nam se pukaren mujhe,
Dar haqueequat main sirf aurat hoon.

Keyun bhatakti phiroon main aur kahin,
Rahnuma mera jab yahan hay yehin,
Kamli wale ke naqshe pa pe jabeen,
Yehi iman hay yehi hay yaqeen.

Tuesday, September 2, 2014
Topic(s) of this poem: naat
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Pata nahin yeh hamd hay ya naat?
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 07 October 2015

Superb: Keyun bhatakti phiroon main aur kahin, Rahnuma mera jab yahan hay yehin, Kamli wale ke naqshe pa pe jabeen, Yehi iman hay yehi hay yaqeen

0 0 Reply
Aftab Alam Khursheed 12 September 2014

A beautiful poem and you said the Style of MOHAMMED(SAW) i should be adopted no can can find ever ever such a Rahnuma a Leader that came to this world for us for humanity Iski taareef nahii kar sakta ki ye poem kitni khubsurat hai..jo dil ko chhu jaaye usse khubsurat aur kya thank you Assalam o Alaikum

1 0 Reply
Akhtar Jawad 02 September 2014

A great, thoughtful poem, the firmness of a strong woman is nicely painted.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success