My Wife Piece By Piece Slices My Heart, A Hindi/Urdu Poem Of Disappointment Poem by Ravi Kopra

My Wife Piece By Piece Slices My Heart, A Hindi/Urdu Poem Of Disappointment

Meri dulhan, meri dharam patni
tum sundar ho, meri jaan-e-jaan ho
magar meri cheer-jwaar चीर ज्वारho

Jab khush hoti ho baDa maza deti ho
dhul dhul kar mohabat karti ho
meethi meethi baatoN se dil main bahar laati ho
mere dil ki gulab subah subah khil uthay hain
chameli k phool sandya sameh is main muskratay hain
aur raat bhar pyaar main bhari mujhe sonay nahin deti ho

Lakin jab gusse se bhari hoti ho
aandhi toofan a jaate hain
darwazay khulte hain, band ho jate hain
khidkiyan cHan-cHananay lagti hain
mera beta meri gode main a baithta hai
hamara bechara cHota sa puppy tum se dar
kar gusal-khanay main chala jata hai

Jab tum bolti ho, hawa main talwareN chalti hain
teri zuban se kaman k teer chalte hain
mere dil k tukDay kar dete hain
barchiaN teri jeeb se nikal nikal kar
mere seene main aa paDti hain
mere jigar ko cheer deti hain

Teri zuban k aaray chalne lagte hain
jo pathar k diloN ko bhi cheer dete hain
mera to dil itna nazuk hai
halki hawa aane pe uDne lagta hai

Jab tumhari awaz oonchi hoti hai
lagta hai gagan main kaale badal takraiN marte hain
aasman main bijliaN chamak lagne lagti hain
aur kabhi kabhi hamari bechari padosan
aa kar darwaze pe ghanti bajaati hai
aur poocHti hai: beta, sab theek-thaak ho na
chaho to mere ghar aa jana, chahe tumain pilauNgi
bilkul na ghabrana, kabhi na sharmana
main usko danya-waad deta hoon
pyaar ki izzat se us ko namaskar karta hoon
aur apne dil main kehne lagta hoon:
hey bhagwaan, kash tera dil-e-dimag-e khayal
hamari pyaari pyaari paDosan sa hota!

Tuesday, May 1, 2018
Topic(s) of this poem: disappointment
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success