Nasha (नशा) Poem by Pushpa P Parjiea

Nasha (नशा)

Kya kahen dost is nashe ki tabiyat kya hoti hai
Jab chadhe nasha kisi bhi chiz ka insa ki halat buri hoti hai

Veise to nashe ko kahete hain bura log ek jamane se

par ham kahte hain ki nashe ki adat bhi badi achhi ho sakti hai

Na maan lo ki nasha sirf sharab ka hota hai
jisme khone ke bad insa kuchh pal hasne ke bad sada rota hai


ek nasha tum bhi kar lo aie dost jo jivan ke safar ko khushiyon se bhar deta hai

Ye nasha hai ek insa ka duje insa se pyar ka jo ek baar chadh gaya to kabhi na utarta hai

Is nashe me sirf gun hi gun hai aie dost
Kyunki ye rote ko hansi deta hai

ye nasha jab sir chadhkar bolne lagta hai
tab insa khud ki vahsi fitarat ko sada ke liye hi kho deta hai

Sukun hai isame sharab ke nashe se bhi jyada
isme dubne vala or pilaane vala bhi bada khush hota hai

Kitani bhi karen tariff is pyar ke nashe ki ham

lagta hai aie dost kuchh to hai rah gaya kam.
Eise pyar ka nasha jahan me bas jaye tab na koi apna na koi bhi paraya hota hai

hai na ajeeb dosto ye ki Is NASHE me kisika nuksan nahi नफ़ा ही hota hai..

Friday, April 21, 2017
Topic(s) of this poem: abc
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 07 August 2017

This is indeed a masterpiece. Superb expression. You have given a amazingly brilliant treatment to the subject. Thanks a lot, Pushpa ji. I quote some lines as under: Sukun hai isame sharab ke nashe se bhi jyada isme dubne vala or pilaane vala bhi bada khush hota hai Kitani bhi karen tariff is pyar ke nashe ki ham lagta hai aie dost kuchh to hai rah gaya kam.

1 0 Reply
Pushpa P Parjiea 08 August 2017

is poem ke shabdo ko gahrai se samjhkar aapke dwara di gai sarahna ke liye hirday se aabhari hun rajnish ji... thanks alott for lovely comments..

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success