meri beewi nayi paDosan ko
khushamdeed karne us k aangan main gayi
aur ghar par chai-pani ko bulaya
us ne koi dhanyawad nahin diya
ek dum kaha -
ab shaam k taqreeban saat baje hain
mere kutoN k sone ka waqt hai
acha, bye bye
main ne unko bistar par solana hai
vo kutton ko nehlati hai
bachay wali buggy main baithakar sair ko le jati hai
baal katne pet-barber ko ghar bulati hai
khansi zukaam pait-dard hone par doctor k pass le jati hai
kabhi us ne shaadi na ki
koi mehboob nahin hai
akeli hai, buDi ho gayi hai
do kuttay us k do bache hain
ye amreeka hai
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem