Papa.. Poem by Manisha Kholiya

Papa..

Rating: 5.0


Smjha mere papa ne mujhe
aur khamosh reh kar bahot kuch samjhaya mujhe
vishwaas ka sahara dekar
aage badhne ka hoshla dilaya mujhe
ugunli pakad ke chalna sikhaya tha bachpan me
aur aaj tak sath khade hoke bahot kuch sikhaya mujhe
tooti bikhri roii hataash hui kayi baar mai
par unke chehre ne fir se umeed ka rasta dikhaya mujhe
nahi jatate vo pyaar apna khul kar kabhi
par unki aankho me fikar ka selaab dikha hai mujhe
unki mehnat ko dekh khud kuch karne ki seekh milti hai
itna kuch karne ke baad bhi unhone kabhi na jataya mujhe
badi khush nasseeb hu jo mere papa mere sath hai
asal me mere papa ne hi to zindagi jeena sikhaya mujhe

COMMENTS OF THE POEM
Varsha M 02 August 2020

Bahut khoob kaha aapne. Khushnaseeb hai wo jinke papa neev hai unki zindagi ke. Palko me bethake duniya ka sair kara le aate, har pal ka khayal rakhe jaise ki nanhi se raani hoon mai unki. Bahut khoob. Aabhar.

0 0 Reply
Gajanan Mishra 16 June 2013

papa ne hi to zindegi jeena sikhaya mujhe, very true, Father's day, cheers, I invite you Manisha to read my poems and comment.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success