Raat Bhar Dekhey Paharron Pe Barastey Mausam Poem by Farzana akhtar

Raat Bhar Dekhey Paharron Pe Barastey Mausam

Raat bhar dekhey paharron pe barastey mausam
Laala-roo bheegay kinaaron pe sulagtey mausam

Raat ke khaalee katorey ko labalab ker ke
Kis qader khushbo chirraktey hain behaktay mausam

Shaam hoti hai tau phir geet jaga detey hain
Payalon mein kisi ghunghroo ke khanaktay mausam

Shokh Bondon Ki Tarah Jaa Ke Atak Jatey Hain
Jism Ki Kori Surahi Pe Chamaktey Mausam

Kya Pata Kab Ye Kisi Shaakh Ko Banjer Kerdein
Narm Mitti Ko sukha Ker Ye Sisaktey Masam

Zard Patton Mein Kisi Yaad Ke Jaman Ke Taley
Khelte Rehte Hain Bachpan ke Chehektey Mausam

Baand Ke Par kahein Le Jayeingay Muhko Naina
Khwab Mein Urtey Parindon Se Guzartey Mausam

COMMENTS OF THE POEM
Pankaj Goswami 18 February 2014

i love ur all poems. this one is awesome gem of ur collection. Eagerly waiting for ur next poem.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success