Saapne Hassen.... Poem by Varsha M

Saapne Hassen....

Lamhe haseen bunte gaye
Shabdo ke sunhere mahal thoke
Wo bhi aaj ke takneeki daur me
Bas unhone saath jo diya mere.

Jo sabd hoton tak aakar rah jate
Unko bakhubi ubhar kar nikalne diya
Khatoon me khilhar bahar jaise
Mahkagaye bagiya unki.

Aur wo door khade neharte rahe
Har piroye hue shabd ko
Seene se lagaye hue
Mand se muskaan dekar.

Khatoon aur issharoon ka daur
Yu shuru kiya unhone
Phoolon ke bauchar jaise
Aur shabdon ke sailab jaise.

Mano jaise har sabd bhed jaye dilko
Aur phoot nikle isshare unke
Anokha hai ye ikebana hamara
Kuch tej tarar kuch teekha.

Seene se lagaye har khaat hamare
Soote wo har raat bichawane par
Iss aas se ke saath tum raho mere har pal
Aur mai ji loon thoda aur zindagi ko iss pal.

Waha mai aas lagaye baithe hoon
Unke har issare ka
Jo baya kar jaye
Hal-e-dil unka hamse.

Hota nahi ishq bewafa kabhi
Bas hota hai aandaz apna apna
Aur jugalbandi bindass nibhate jate
Jab wo aur mai ban jate hai hum.

Nibha jate hai har daur kathin
Bas hum ho saath saath.

Khatoon ka wo daur jo hamne jiya
Na jaane wo kaun dhage jod gaye
Ki na mile hue bhi lage jaise
Barso ke bhichade yaar mile.

Khamoshi unke issare ka intezar karti
Aankhe unki khatton pe taktaki lagaye baithe
Na unhone chodi aas kabhi
Aur na maine toda bharosa unka.

Aanokha tha ye bandhan hamara
Na the koi shart na tha koi aapda
Bas tha wo adbhut pyar hamara
Jo kheech le ayahame, door etne.

Ehsaas jo unhone diya hame
Shabdon ka karva kaam pade
Baya karne me unko is janam me
Aise Hassen pal hame saath guzare.


Aai waqt guzarish hai aapse
Tham jaaye aaj yehi par mere liye
Kahi chhot na jaye ek bhi nagme
Jo saath me hame gungunye.

Ek wo the, aur ek hum the
Gulistan haseen banane me.

Saapne Hassen....
Saturday, September 19, 2020
Topic(s) of this poem: feelings,letters,life,love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Wanted to write a poem inspired by Hindi song likhe jo khat tumhe from kanyadaan movie. But then the follow was not lyrical and I felt even this composition is awesome.
Photo courtesy clipart library id 1303240
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success