Tab Yaad Tumhari Aati Hai Poem by Mithilesh Dixit

Tab Yaad Tumhari Aati Hai



Jab shawan ke dino me barish ruk- ruk ke hoti h,
Jab aashman me badal ruk-ruk ke umadate rahate hai,
Jb aise hi khule nabh me kali si ghataa chha jati;
Tab yaad tumhari aati hai…

Jab pawan ke jhoke se masti me patte jhoomate hain,
Jab jhoom-jhoom ek daali ek daali ko jaise choomate hain,
Jab bar-bar ish chumban se daali main lachak aa jati h;
Tab yaad tumhari aati hai….

Jab subah-subah mandir main ghante bajte hain,
Jab aane wali har bhajan ke lavz suhane lagate hain,
Jab ghar ke hi ek kone main maa aarti doharati hai;
Tab yaad tumhari aati hai…….

Jab bheed-bhad ke mele main khud ko akele pata hu,
Jab ushe dhoondhati nazrein gagar si khali hoti hain,
Jab kisi ajnabi se ye nazrein takaraa jati hain;
Tab yaad tumhari aati hai……

Jab roothe bachhe ko maa bar-bar manaati hai,
Jab bachhe ke ‘Karun' krandan se maa ghabda jaati hai,
Jab maa ke mamatamayi nayano me anaayash ashru aa jatein hain;
Tab yaad tumhari aati hai…..

Jab sapano main sath akele tumhare hota hoon,
Jab hatho main hath liye khwabo main kho jata hoon,
Jab jaraa si aahat se neend meri khul jati hai;
Tab yaad tumhari aati hai……
Tab yaad tumhari aati hai……

Thursday, August 28, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success