Tum Kyun Nahi Aaye Pehle Kabhi? Poem by ANJALI KAKATI

Tum Kyun Nahi Aaye Pehle Kabhi?



Tum kyun aaye abhi?
Duniya bhar ki roshni liye?
Hume andhere ki aadat
Ho chalee thee.
Kabhi youn khud ko dekha nahi,
Andhere me sheesha nazar aaya hi nahi.

Tum kyun aaye abhi?
Itni sari khusiyan liye
Hume gamo se mohabbat
Ho gayee thee.
Dekho..
daman me sambhali jaati nahi!
Kabhi issko batorte hai,
Toh kabhi uss ko kho dete hai!

Tum kyun aaye abhi?
Umar bhar ki guftagoo liye?
Bheed me tanha phirte the,
Kabhi bewazah haste,
Kabhi bewazah rote the,
Par aah tak nahi karte the.
Abb samajh aata nahi..
Tumse shikayat kare..
Ya kare gila
Tum kyun nahi aaye pehle kabhi?

COMMENTS OF THE POEM
A B 05 October 2012

ab aa he gaye hain to gale lag jao....khushiyon ko khushi se apnao na thukrao........gud poem altogether

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success