Wuh Chupi Bat Poem by Akhtar Jawad

Wuh Chupi Bat

Rating: 5.0


Aap kah dete agar hum nahin kah paye wuhi bat,
Ek janam beet geya aur rahi honton mein dabi bat.
Aap se yun to bahut sari suni hayn batein,
Wuh lateefe wuhi qisse ke na jimein thi koi bat.
Shak to in aankhon pe mujhko tha hamesha lekin,
Bas zara khauf tha kanon se jo inne na sahi bat.
Chaunk kar aankhon mein jhanka to nigahein na hateen
Aaj jab aap yeh bole ke sunaen na nai bat.
Aankhon mein aansoo labon per wuh tabassum dekha,
Aaj tak ho na saki thi jo nigahon se hui bat.
Aur keya rah geya baqi ke karein hum batein,
Ruki rahne do jo honton pe hay muddat se ruki bat.
Khol do aaj ki shab jo bhi chupa hay apna,
Khud hi aa jaegi pardon se nikal kar wuh chupi bat

Friday, August 28, 2015
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut khoob janab...behatareen gazal.............

0 0 Reply
M Asim Nehal 21 September 2015

Aaj tak ho na saki thi jo nigahon se hui bat................Kya Baat hai Janab Khud hi aa jaegi pardon se nikal kar wuh chupi bat...........Awesome.....10+++

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 28 August 2015

Lajawab ghazal...........................................................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success