"Ye Baarishen B Tum Si Hain" Poem by bhavna singh

"Ye Baarishen B Tum Si Hain"

Rating: 5.0

Kabhi dhoop si bekraar hai
Kahi chhav si khili bahaar hai
Kabhi baras gayi yu hi besabab
Kabhi thehar gayi to Intezaar h
Kabhi betahasha khumaar hai
Kabhi chup si hai gumsum si hai
Ab aur jyda kya kahu

"YE BAARISHEN B TUM SI HAIN"

Kisi khusnuma si yaad me
Mera haath tha tere haath main
Hasratein phir se machal gayi
Khud se hi khud me jal gayi
Kahin boond-boond pighal gayi
Kahi ansu ban ke dhal gayi
Ye muskurahte bhi gum si hai
Ab aur jyda kya kahu

"YE BAARISHEN B TUM SI HAIN"

Kisi shakhs ne ek yaad ko….
Ek dabi hui si raakh ko..
Kabhi jala diya kabhi bhuja diya….
Kabhi khaakh me yu mila diya…
Palkon pe apni bitha kar ke…
Nazaron se phir yu gira diya…
Dhadhkane bhi ab be-dum si hai….
Ab aur jayda kya kahu…..? ? ? ? ?

"YE BAARISHEN B TUM SI HAIN"

Bhavna R Verma

"Ye Baarishen B Tum Si Hain"
Thursday, August 11, 2016
Topic(s) of this poem: alone,love and dreams,rain
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
"YE BAARISHEN B TUM SI HAIN"
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 11 August 2016

Dreams come in love and love remains in dream below each heart beat and in heart of mind. Very amazing sharing...10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success