Aieye Aaamrapali!
Buddh teri yachna karta hai
tabhi to aaya hai
tere dwar par
use aur bhi sikhna hai
ek aur mantra
tumhi se paa sakata hai
sikhlao is Buddh ko
aaj apna prem mantra
gyan ka bhandar ab bhi
hai bahut khali para
kaun sa wah gyan dogi
buddh ko batalao jara
Aieye Aaamrapali!
Saraswati kee Veena tumhare paas hai
jhankrit karo sapta suron ko
mita do buddh kee gyan pipasa ko
wah khara yachak bana
Aieye Aaamrapali!
tum prem ki janani ho
buddh ek shishu sa saman
tabhi to aaya hai
tere dwar par
tumhari ek lori se
santripta hoga buddh yeh
Aieye Aaamrapali!
tumhari nagari prem ki nagari hai
har purushartha yahan dhah jaata hai
phir buddh kaise yeh kahe
yehi hai prabuddh is dhara ka
tum matritwa ka bhandar ho
shringar ki ho ek janani
buddh aaya hai tere dwar par
hai khara yachak bana
pila do apne astan ka amrit kalash
jisse hai purusharth milta
budhh phir laut jayega
yeh tumhare dwar se
Composed around April 1985 at Howrah and posted at Hajipur at the native of Aamrapali.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem