Aankhen... Poem by abhilasha bhatt

Aankhen...

Aankhen sach keti hain..
Aankhen sach sunti hain..
Aankhen na bolkar bhi bahut Kuch bolti hain..
Aankhen khamosh rehkar bhi fasana kehti hain..
Aankhen bhed dilke kholdeti hain..
Aankhen bayaan dik k har jazbaat kardeti hain..
Aankhen manzar dekhti hain..
Aankhen maatam dekhti hain..
Aankhen dard dekhti hain..
Aankhen sitam dekhti hain..
Aankhen bebasi dekhti hain...
Aankhen khamoshi padti hain..
Aankhen tamaasha dekhti hain..
Aankhen pyar ka izhaar karti hain...
Aankhen phool dekhti hain...
Aankhen kaante dekhti hain..
Aankhen zindagi dekhti hain...
Aankhen maut dekhti hain...
Aankhen duniya main ate waqt bhi band rehti hain...
Aankhen duniya se jaate waqt bhi band rehti hain...

Friday, December 4, 2015
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Shakil Ahmed 04 December 2015

eyes silently tells so many things, very interesting poem, thanks for sharing

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success