Anjane Mein Aa Ghera Hai Ye Kis Rog Ne Mujhe Poem by M. Asim Nehal

Anjane Mein Aa Ghera Hai Ye Kis Rog Ne Mujhe

Rating: 4.0

Kalam likh nahi sakti dil-jalon ke afsane,
Mujhe tumse mohabbat hai, tumhare dil ki khuda jaane

Mai intezaar karta hoon tou ban jaate hain afsane
Jo tum khamosh rehti ho toh doston ke sehta hoon mai taane

Ajab uljhan me dala hai ye ishq ke imtehaan ne mujhko
Jaagta hoon tou madhosh rehta hoon, sota hoon tou jaga dete hain khwab suhane

Din ginta hoon tere jawab ke intezaar mein
Raat guzar jaati hai kya boloon subha is iqtelaaf mein

Ab lage bachpan kyun chod gaya jawani ki godh me mujhe
Anjane mein aa ghera hai ye kis rog ne mujhe.

Tuesday, October 6, 2015
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
कलम लिख नहीं सकती दिलजलों के अफ़साने
मुझे तुम से मोहब्बत है, तुम्हारे दिल की बात खुदा जाने

मै इज़हार करता हूँ तो बन जाते हैं अफ़साने
जो तुम खामोश रहती हो तो दोस्तों के सहता हूँ मै ताने

अजब उलझन में डाला है ये इश्क़ के इम्तेहान ने मुझको
जगता हूँ तो मदहोश रहता हूँ सोता हूँ तो जगा देते हैं ख़्वाब सुहाने

दिन गिनता हूँ तेरे जवाब के इंतज़ार में
रात गुज़र जाती है क्या बोलूं सुबह तुझको इस इक़्तेलाफ में

अब लगे की बचपन क्यों छोड़ गया जवानी की गोद में मुझे
अंजाने में आ घेरा है किस रोग ने मुझे
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 16 October 2015

Tum Bhi Muhabbat Kar Ke Dekho - Poem by Akhtar Jawad Tumbhi muhabbat kar ke dekho aaina acha lagne lage ga, Jeena to phir jeena hi hay marna acha lagne lage ga. Mur kar dekho kaun hay peeche, shayed koi apna hi ho, Apna agar mil jaye koi to murna acha lagne lage ga. Kiski nigah tumper hay jami, keyun tumko woh takta hay sada, Aankhon mein uski jhank ke dekho takna acha lagne lage ga. Shayed kahna chahta hay kutch, sun to lo keya kahta hay, Mujhko yaqueen hay sun kar uski sunna acha lagne lage ga. Khamosh raho aur kah na sako kutch, han aksar aisa hota hay, Lekin bolti aankhon se kutch kahna acha lagne lage ga. Tanhai se khelne wale tanha Khuda bhi rah nahin paya, Dost ka sang ho phir to tanha rahna acha lagne lage ga. Yun na akele chal pao ge rahein kathin hayn lamba safar hay, Hath mein lelo hath kisi ka chalna acha lagne lage ga. Akhtar Jawad at poemhunter.com

1 0 Reply
M Asim Nehal 30 January 2016

Awesome Janab.........

0 0
Kumarmani Mahakul 06 October 2015

What an amazing expression shared really that dips reader in deep emotion. A wise and interesting sharing...10

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success