Aur Kami Thi..? Poem by M. Asim Nehal

Aur Kami Thi..?

Rating: 5.0

Ulfat ka diya jala kar chod aaye hum
Us bazm mein jahan pyar ki kami thi.

Thy sukhanwar bahut uss bazm-e-duniya mein,
Jo thi wahan per woh insaan ki kami thi.

Khoobsoorti toh lut rahi thi zarre zarre mein,
Ankhen mili thi lekin deedar ki kami thi.

Roya bahut hoon mai bhi tere shab-e-gham mein,
Khoon-e-jigar mila tou ansuon ki kami thi.

Tarkash me mere teer kam nahi thy "Ashi",
Dost tou mile hain dushmano ki kami thi.

Monday, March 28, 2016
Topic(s) of this poem: life,love
COMMENTS OF THE POEM
Suzon Albert 25 February 2019

Umda ghazal , ye kami sabhi jagah hai.

0 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 31 March 2016

Behad Israr kun bahut umda hai aapki ye ghazal. Asim saab i am looking forward for more

5 0 Reply
M Asim Nehal 10 April 2016

Thank u Mohtarma.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success