Behind Poem by Suhail Kakorvi

Behind

Yahi hasrat chipi hai khwahishe deedaar ke peeche
Ki dekhen kaun hai rangeeniye gulzaar ke peeche

Sitamgar bewafa hai dushmane dil hai jafaparwar
ye sab keh kar zamaana pad gaya hai yaar peeche

Qayamat chal rahi hai ye bhi kya dilchusp manzar hai
Nigaahe naaz tere fitnaye bedaar ke peeche.

jidhar dekho usi jalwe pe hungama hai janon ka
Faraze daar se aage faraze daar ke peeche


sunai di hai aawaze bahare bekaran mujhko
sadaye maikada aur jaam ki jhankaar ke peeche

wahan jo saamne hai bus usi ki baaryaabi hai
Tadapti hai mohabbat husn ke darbaar ke peeche

Wahi paata hai manzil aur usi ki kamyabi hai,
Ki jo chalta hai apne sarwaro salaar ke peeche.

'Nahin' ki jalwafarmai se usko sab ne pehchana
Ki sau iqraar poshida hai ek inkaar ke peeche

Suhail uske hi qabze men hai usko dekh le koi
Jo rehta hai hamesha pardae asraar ke peeche.

Translation-

The longing implied in seeing is to discover
Who is there within the colorful florid of garden

Tyrant, faithless, foe of emotions and cruel-
People are after beloved calling such names

Oh! Beautiful eyes the terror of doomsday seems to walk fro thee,
What an interesting and lovely sight to watch.

We see everywhere lives are in peril,
At the back of height of goblet and before the height of goblet.

I heard the resonant voice of limitless spring therein,
Behind the yell of tavern and tingle of cup of wine

Love flutters behind the court of beauty,
Because he gets retrieval there who is before the eyes.

For sure he is successful and he attains goal,
He, who follows always obediently his chieftain.

“No” uttered by Ultimate Beauty which became Its identity,
Countless affirmation are hidden in that negation

It is He who has the power to allow sight to see Him,
He, who always is hidden behind the thick curtains of mysteries.

Friday, March 20, 2015
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success