Do [two] Ghazalein [ In Urdu] Poem by Om Chawla

Do [two] Ghazalein [ In Urdu]



-1-
Yeh zeest ke gham hain pyaloon mein na simtain ge
Oak se peete raho jab tak na dum nikley.
Ahsas toa hai tere dukh ka par aye dost main karoon kya
Duaien be-assar hain aur haath nahien kuchh mere.
Aaie jo laghzish-e-paa dikha na koi jo mujhe thaamey
Kahne ko toa rishton ka ik hajoom tha sang mere.
Musarat jo bhari jeevan mein ik bachhey ki kilkari nein
Paaband kiya siyaad nein go laakh hum tadpe.
Vaisey toa parvar nein bahut kuchh hai diya lekin
Mayusi ka yeh aalam hai mayusi hai sang mere.
-
-2-
Miltay hain jo dukh ahsasaat se janmein hain
Kisi aur ko dukh de kar rahat ko na tum dhoondo.
Go har shakhs begaana hai dukhoon mein ghira hai
Baaiss kisi ke dukh ka tum toa nahien sochho.
Dard ki tashadad se go umad aiengey aansoo
Palkon ko bana baand iss sailab ko tum roko.
Zarorat hi aadhaar hai rishton ki pakad ka
Tum toa iss tashkeek se hatt kar zara jee lo.
-
Jhoot aur fareb panaptey hain nafrat ki bunyaadon par
Rishton ki imarat kabhi in par nahien khadi hoti.
- [2012]

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success