Ghazal Poem by Yasmin Khan

Ghazal

Rating: 4.8

Janglon ke khatry apni jagah

Yahan To Bastion ka darr bhi hy

Hawa bhi hy tez bht aur

Tinkon se bana mera ghar bhi hy

Labon pe saji hn muskarahtn

Ek Dukh ka alam, deeda e tarr bhi hy

Bewafa hy wo ye janta bhi hy

Dil e wehshi magr khud sarr bhi hy

Kanton ke darmian rehta hy muskarata

Gul e taza grche lahoo mn tr bhii hy

Kushboo e yar jane kion katra ke guzr jati h

Hamesha se khula garchy mera darr bhi h

Sath chal rhy hn ab tk to waja shayd

Meri khamoshi, mera sabr bhi hy

Shak nahi ke jam e muhabbat sheeren hy bht

Mgr ghula kuch is mn jafa kA zehr bhi hy

Ahestgi se mere andar kuch toot chuka hy kb se

Ay bekhabar, tujhe kuch khabar bhi hy....?

Wednesday, December 24, 2014
Topic(s) of this poem: Love
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 27 August 2016

waah maza aagaya..kia kahney hain..aap k yeh purana poem mere liye taza hai...bahuth khoob...

0 0 Reply
M Asim Nehal 12 October 2015

Kya baat hai Mohtarma....Aapki ghazal beinteha hai aur dil pr karti asar bhi hai.....10++++ Kanton ke darmian rehta hy muskarata Gul e taza grche lahoo mn tr bhii hy Kushboo e yar jane kion katra ke guzr jati h Hamesha se khula garchy mera darr bhi h

1 0 Reply
Colonel Muhamad Khalid Khan 25 December 2014

Ahestgi se mere andar kuch toot chuka hy kb se Ay bekhabar, tujhe kuch khabar bhi hy....? A beautifully composed sonnet in Urdu.I enjoyed it Well expressed Well done Col Muhammad Khalid Khan

0 0 Reply
Akhtar Jawad 24 December 2014

Yeh ek khoobsoorat nazm hay, pasand aayee..................10

0 0 Reply
Rajnish Manga 24 December 2014

This poem has all the essential elements that are needed to make it a Top Class Ghazal. Thanks for sharing it on PH. Let me repeat- Hawa bhi hy tez bht aur / Tinkon se bana mera ghar bhi hy. Simply wonderful. I have marked the poem and the poet as my favourite.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success