Ghazal-Jise Main Apna Samajhta Raha Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Jise Main Apna Samajhta Raha

Rating: 4.8


Woh ek shakhs jo hamraz-o-hamnasheen tha mera,
Jise main apna samajhta raha, nahin tha mera.
Jo le uda tha qurar aur chain dil se mere,
Sukoon-e-dil bhi wohi dard-e-dilnasheen tha mera.
Makeen koi na tha hadsa jab aaya pesh,
Yeh dil jo toot gaya, kitna doorbeen tha mera.
Qudam qudam pe sahara diya hay jisne mujhe,
Woh uski zat nahin, zat par yaqueen tha mera.
Main jisko ghair samajh kar talash karta raha,
Woh apna tha, isi dil men tha aur yaheen tha mera.

Tuesday, April 8, 2014
Topic(s) of this poem: love
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Just emotions.
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 28 October 2015

Wah wah janab, Bemisaal ghazal......... Qudam qudam pe sahara diya hay jisne mujhe, Woh uski zat nahin, zat par yaqueen tha mera. Main jisko ghair samajh kar talash karta raha, Woh apna tha, isi dil men tha aur yaheen tha mera.

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 04 May 2015

Main jisko ghair samajh kar talash karta raha, Woh apna tha, isi dil men tha aur yaheen tha mera..... Bahut pyari Ghazal hai. Very true, we keep searching for our loved ones too far but they happened to be too near. Beautiful flow of words. Loved reading each lines...

0 0 Reply
Khalid Saifullah 09 February 2015

Khobb, bahut khoob................................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success