Ghazal-Khamoshi Achi Lagti Hay Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Khamoshi Achi Lagti Hay

Rating: 5.0


Jab aankhein batien karne lagen khamoshi achi lagti hay,
Ab hosh ko rakh kar keya karna behoshi achi lagti hay.
Koi hosh urane wala ho aur aur toot ke chahne wala ho,
Aur shanon pe zulfein bikhri hon madhoshi achi lagti hay.
Koi dekh na le koi sun na le, gul kar do sari shamen ab,
In narm achoote honton ki sargoshi achi lagti hay.
Zara dekho iski shararat ko yeh har singhar ke barse phool,
Yeh chadar kaisi urhai hay gulposhi achi lagti hay.
Main tummei chupa tum mujmein chupe, koi dhoondh raha,
Yeh chand hay aur yeh kahta hay ruposhi achi lagti hay.
Jab gal ki rangat nikhri ho jab aankhon mein masti utri ho,
Ay chasme ghizalan chalakti raho may noshi achi lagti hay.
Jab hont hon kaliyon ki manind jab phool ke jaisa paikar ho,
Bareek gulabi libadeh mein khushposhi achi lagti hay.

Monday, August 4, 2014
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Khalid Saifullah 12 February 2015

a beautiful Ghazal..........................10

0 0 Reply
Khalida Bano Ali 09 August 2014

Lajawab ghazal hay. Aap urdu mein zeyadah zor azmai karen

0 0 Reply
Geetha Jayakumar 08 August 2014

Beautiful Ghazal. Beautiful lines... ab aankhein batien karne lagen khamoshi achi lagti hay, Loved reading it.

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success