Ghazal-Rat Ke Pardon Mein Sahmi Si Mulaqat Nahin Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Rat Ke Pardon Mein Sahmi Si Mulaqat Nahin

Rating: 5.0


Rat ke pardon mein sahmi si mulaqat nahin,
Ek muddat se woh mehke hue din rat nahin.
Teri madhosh jawani ki inayat nahin,
Shokh nazron mein woh rangeen isharat namin.
Bat keya apni sunaen jo teri bat nahin,
Woh tasawar hi nahin ab woh kheyalat nahin.
Ab nahin waslke hangamon mein lazzat baqi,
Ab tere hijr ke woh pehle se sadmat nahin.
Dost hangamae dunya mein hain hum tum uljhe,
Fursale Ishq kise hay ke woh halat nahin.

Sunday, May 25, 2014
Topic(s) of this poem: aging
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
Old age has its own commitments.
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut khoob bahut khoob janab...........10+++

0 0 Reply
Khalid Saifullah 29 December 2014

Bahut Khoobsoorat nazm hay.........................

1 0 Reply
Yash Shinde 26 May 2014

Subhan Allah! Janaab apki shayari ka toh jawab nhi... Yun to urdu ki adab aur tehzib nhi, pr hum iski nazakat ki kadr krna bakhubi jante h... Khuda ka karam hai aap par, ki usne aapko itni nazakat bakshi h. Aapko ilm bhi nhi ki yeh shayaraana andaaz hume kitna psand. Is nazrane ke liye shukriya. Khuda Haafiz..... _/\_ ....? .? ...(?) _________?___________ ...(?) ..¦ n¦______.-: ''''''; -.________....¦ n¦ ..¦ n¦_____(*(*(*|*) *) *) ________....¦ n¦ ..¦ n¦_. ¦nnnnnnnnnn¦___.....¦ n¦

1 0 Reply
Savita Tyagi 25 May 2014

Bahut Khoob! Dost hangamae dunya mein hain hum tum uljhe, Fursale Ishq kise hay ke woh halat nahin.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success