Ghazal-Teri Namaz Aur Hay Meri Namaz Aur Poem by Akhtar Jawad

Ghazal-Teri Namaz Aur Hay Meri Namaz Aur

Rating: 5.0


Hum aashiquon ke hote hayn razo neyaz aur,
Teri namaz aur hay meri namaz aur.
Kahte ho jisko Ishq woh dikhta nahin mujhe,
Meri muhabbaton ke nashebo faraz aur.
Jo dill ko loot ley woh lutera mujhe pasand,
Mahmood mera aur hay mera Ayaz aur.
Roe jo tere gham pe wohi aankh muhtaram,
Main keya karoon ke dil ke hain andazo naz aur.
Jango jadal ke tabl se sahma hua sa hoon,
Qudrat ne mere hathon ko bakhsha tha saz aur.

Thursday, June 26, 2014
Topic(s) of this poem: war
POET'S NOTES ABOUT THE POEM
My prayers are different than others.
COMMENTS OF THE POEM
Ajay Kumar Adarsh 22 August 2016

bahut hi sundar nazm hai sir, mohabbat ke upar kahi gayi ek bemisal poem

0 0 Reply
Khalid Saifullah 15 February 2015

Achi Ghazal Hay.....................10

1 0 Reply
Kirti Sharma 03 July 2014

i like ghazal.... a beautiful write! ! i liked it! ! !

2 0 Reply
Sadiqullah Khan 28 June 2014

I like ghazals. Anyone who is from east, is aware of the beauty of this expressive genre. This one is excellent.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success