Hus-Band & Wife Poem by Rishi Thakkar

Hus-Band & Wife

Rating: 3.0


Wo hai baadal to main hoon bijli
Wo hai baarish to main hoon chhatri
Wo hai sooraj to main hun sunglass
Wo hai chandrama to main bhi hoon taare khaas
Wo agar hai Nadi to main bhi hoon paani
Wo agar hai aankhein to main uska kaajal
Wo agar hai kaan to main unse lipte gesu
Wo agar hai saansein to main unn saason ki mehek
Uske hotho ki muskaan main
Kabhi kabhi uske aansuon ka praan main
Uski har manokamna ho poori uss vakya ka purnaviram main.
Kabhi nimbu sa khatta kabhi karele sa kadva
khatta nimbu aankhon ko gudgudata hai, aji kadva karela bhi sehat banata hai.
Samajdariyon ki aapadapi ka safar
Tu hai meri main tera humsafar.
Misalon se samaj aa hi jaata hai
Har paraspar tulna aisi hai jo husband wife ka rishta de jaata hai.
Mere pyaare shadi shuda bhaiyo humesha yaad rakhna
Wo hai har baat main sahi zaroor swekar karna
Ye formula aisa hai jo harpal shaanti de jaata hain
HUSBAND WIFE KA EPISODE SABKE GHARO KO NOK JHONK AUR PYAAR se paripurna kar jata hai.

Tuesday, April 18, 2017
Topic(s) of this poem: humor,husband
COMMENTS OF THE POEM
Jazib Kamalvi 19 April 2017

Achche husband ho. Mubarak ho. Thanks

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 18 April 2017

A good poem on husband and wife.....heterogeneous topics you use to write on.....a true sign of poet :)

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success