Interrogation Poem by ramesh rai

Interrogation

Prakrit chetna se bimukh tha
main khada sagar kinare
sonch ki gaharaiyon mein
mapata us ant ko
hai suru manushya ki duwidha
aur kathiniyan anant
swikarta kabhi challenge ko
to phir kabhi hai nakarata
vritiyon ke agosh mein
wah kabhi kuchh ko na
pahachanta
jad aur chetan banaya
sab kuchh kartar nein
phir bhala hum kyun kahen
yeh hamari hai kritiyan
koi vasana nahi
koi sadhana nahi
phir bhi aaj aadami
ab bhi hai jinda
tumhari hi kar kamalon se lun
tumhari kirtiyan
yehi abhilasha bani hai
aaj meri dwitiya.

COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success