Ishq Hai Poem by Abhinav Raj

Abhinav Raj

Abhinav Raj

Shahpur Patory, Samastipur, (Bihar)

Ishq Hai

Rating: 5.0


others.
Jab raat mein chand se nazar na hate,
jab din mein aankho se nind na fate,
jab duur rahkar waqt mushkil se kate,
jab pas hone par waqt ruke na ruke,
to samjho ishq hai.
Jab bewajah muskurahat chehre pe khil jaye,
jab ghanghor andhere mein v koi raah dikhaye,
jab duniya tumhari dushman ban jaye,
jab koi apnepan ka ahsas karaye,
to samjho...........
Jab aanshu ankhon se duur ho jaye,
jab rah-rah ke koi yaad aa jaye,
jab haar mein v jeet ka ahsas ho jaye,
jab uparwale pe vishwas ho jaye,
to samjho...........
Jab khud se jyada kisi ki fikra ho jaye,
jab doston k samne bina chahe kisi k zikra ho jaye,
jab kisi ki aanshu se dil bheeng jaye,
jab duniya apni nazron mein hasin ho jaye,
jab bat labo pe aakar ruk jaye,
to samjho Ishq hai.
- - -Abhinav Raj- - -

Friday, July 1, 2016
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 02 July 2016

Love expresses itself in myriad ways which might surprise even the lovers themselves. Thanks: Jab khud se jyada kisi ki fikra ho jaye / jab duniya apni nazron mein hasin ho jaye / jab bat labo pe aakar ruk jaye / to samjho Ishq hai.

1 0 Reply
Abhinav Raj 05 July 2016

Thanks....Sir

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Abhinav Raj

Abhinav Raj

Shahpur Patory, Samastipur, (Bihar)
Close
Error Success