Nazar Se Nazar Milaye Koi Poem by Abhinav Raj

Abhinav Raj

Abhinav Raj

Shahpur Patory, Samastipur, (Bihar)

Nazar Se Nazar Milaye Koi

Rating: 4.0

Nazar se nazar milaye koi,
naino ke eshare ko samajh jaye koi
hoti hain saansein garm kyun,
mujhe ye mazra samjhaye koi,
nazar se nazar milaye koi.
Milne se darta hupar milne ki dua karta hu,
kahta hu use bewafa
par usi ki wafa pe marta hu,
hain kis taras ke ye khayalat,
mujhe ek baar to samjhaye koi,
nazar se nazar milaye koi.
Uske rang mein khud ko rangna,
uska nasha mere tan-maan pe chadhna,
toot kar muhabbat usse karna,
par apne zazbaat zahir hone ke dar se v darna,
hain kis tarah ke ye khayalat,
mujhe ek baar to samjhaye koi...
nazar se nazar milaye koi....
- - Abhinav Raj- - - -

Friday, July 1, 2016
Topic(s) of this poem: romantic
COMMENTS OF THE POEM
Abduhoo Salamath 21 August 2016

bahth badhya...nazar se nazar mili...aur...........

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Abhinav Raj

Abhinav Raj

Shahpur Patory, Samastipur, (Bihar)
Close
Error Success