Shak Karna Chhor Diya Poem by Abhinav Raj

Abhinav Raj

Abhinav Raj

Shahpur Patory, Samastipur, (Bihar)

Shak Karna Chhor Diya

Jab se aapne apnapan rakhna chhor diya,
Tab se maine v shak karna chhor diya,
Hain raaz saare aapko mujhse v pyaare,
Lo ab maine humraaz hona chhor diya.
Hain sawalaat sabke zehan mein ki main kaun hun aapka,
Lijiye ab maine khud ki waqalaat karna chhod diya,
Bahut gairiyat se dekha hai har kisi ne mujhe,
Ab maine khud se v nazrein milana chhod diya.
Jab se aakar mehfil mein aapke ruswa hua,
Tab se maine kahi aana jana chhod diya,
Hai mere wazud pe kuch ko ayitraaz bada,
Lijiye ab maine khud ko jatana chhod diya: .
- - - Abhinav Raj- - -

Friday, July 1, 2016
Topic(s) of this poem: realistic
COMMENTS OF THE POEM
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Abhinav Raj

Abhinav Raj

Shahpur Patory, Samastipur, (Bihar)
Close
Error Success