Ishq Husn Aur Shair Poem by Akhtar Jawad

Ishq Husn Aur Shair

Rating: 5.0

Ishq
Main tumko dhoondh nahin paya han apna aap ganwa aaya,
Ab khud ko dekh ke sochta hoon yeh main hoon ya hay mera saya.
Ab jo bhi chehra dekhta hay pehchan nahin pata hay mujhe,
Is ishq mein keya kho kar aaya is ishq mein maine keya paya.

Husn
Koi mere siwa keyun pehchane main apna hoon sab begane,
Is ishq main aysa hi hota hay jo khud se bane hayn anjane,
Wuh Qais nahin rah pate hayn majnoon wuhi kahlate hayn,
Sahra mein bhatakne walon ke duhrati hay dunya afsane.

Shair
Keya hum mitti ke khilone hayn kirdar hayn hum afsanon ke,
Keya husn o ishq bhee haqeeqat hay ya khawab hayn yeh deewanon ke,
Kisi aur ke bare mein keya main muhe khud apni hi khabar hi nahin,
Mitti pe gire hum qatre hayn do toote hue paimanon ke.

Monday, July 27, 2015
Topic(s) of this poem: poet
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 27 July 2015

Sir, I will have to admit that I have not read Rubai's of so much literary beauty and perfection since long. Thank you very much for sharing this commentery on Ishq, Husn and the Shair.

2 0 Reply
Kumarmani Mahakul 27 July 2015

A great write with high speculation. I like the best lines are ..Ab khud ko dekh ke sochta hoon yeh main hoon ya hay mera saya. Ab jo bhi chehra dekhta hay pehchan nahin pata hay mujhe, ... So nice, enjoyed. Thanks for sharing. .... 10

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 27 July 2015

A nice write.................................10

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success