Jab Banaya Hai… Poem by M. Asim Nehal

Jab Banaya Hai…

Rating: 5.0

Jab toofano se ladne ke liye hi banaya gaya hai mujhe
To kyun kar lehron se dar kar mai sahil pe jeeyon

Maqsood mera tameer hua hai jiske maqsad pe
Kyun mai raaston se ghabra ke manzil se door rahoon

Chattane rok nahi sakti raasta deewanon ka
Parwane jalte rehte hain phir bhi mastane hain.

Milti gayi mohlat, luft hum uthate gaye
Jab waqt ne khichi dori, mitti ankhon mein gayi.

Tuesday, April 19, 2016
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Aarifa Almas 23 April 2016

Bahut hi achi naseehat Hai ismei dar kar ruk jaane walon k liye.. Himmat e mardaan. Madad e khuda.. Great lines. Enjoyed..

3 0 Reply
Rajnish Manga 19 April 2016

जितना खूबसूरत ख़याल उतना ही प्यारा उसका इज़हार. धन्यवाद, असीम जी.

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success