Rajani ko dhalte maine dekha hai
lekin main ne tumhe nahi dekha
shaam bhi dhalta hai
subah bhi bilin ho jata hai
dopahar mein
lekin tum wahi ho
aaj bhi wahi ho
usi tarah, thik usi tarah
jo har saal rituon ki tarah badalta hai
lekin tum to aaj bhi nahi badli
kaise badlogi
mai ek pathik thahara
din ka thaka manda
lautata hoon jab tumhare dwar ko
wah tum ho
deti ho meri yachana
satya aur asatya sabse pare ho
kuchh bhi dikhta nahi
manavata ka parihas tum mein
phir bhala kyun main dekhta
koi kitna bhi phool chadhayega
lekin ek hi pushp hi kafi hai
wah tumhare juron mein guthkar
sushobhit hoga kahin jyada
itna jyada jis se tumko
ehsas hoga apne ekakipan ka
jude ka pushp
akela rahkar bhi
shobhayman hota hai
ek swarg ki sadhya se utari
ek kamal pushp ki tarah
ek champa ek chameli ki tarah
inhe hum jude ka phool kahate hain
tumhe ehsas hoga en phoolon ka bidhana
tumhe ehsas hoga en phoolon ka
apne hi aap mein rahana
tumhe ehsaas hoga inka
hansna aur hansana
tumhe ehsaas hoga
inka gude mein bidhna
phir alag ho jana
har pal ka ehsas hoga
ek jude ka phool ban jana
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem