Kagazon Ki Kismmat.. Poem by abhilasha bhatt

Kagazon Ki Kismmat..

Rating: 5.0

Kagaz ki hatheli par
Lakeerain kahan hoti hain
Na koi sawal hota hai
Na Koi paheli hoti hain
Kagazon ki kismmat hi hoti hai
Kbhi kora ek dum
Kbhi Kuch shabdon k mail se bhara
Jab mann kia likha
Kbhi laal syahi se
Kbhi kaali
Kbhi neeli
Kbhi hari
Mann k mutabik likha mann k kahe rang se
Jab mann kia katron main bikher dia
Kbhi un tukdon ko kisi ne joda
Kbhi kachra jaan kar faink dia
Lihaza kaun kya kehta hai
Kya sunta hai
Isse Kya fark reh jata hai
Sach to wahi hai
Jo inpar likh dia jaata hai muhar k sath
Mano agar muhar na lagti
To baatain jhuth hoti likhi hui
Kagaz par darj karne k bad bhi
Sach aur jhuth k Saboot ki zaroorat kitni hoti hai
Shadi k shubh lagn in kagazon par hi utare jaate hain
Toot te rishton ki kahani hastakshar sahit kagazon main hi to darj ki jaati hain
Kagazon k bina khudho ko sakshar bhi to nhi kehpate ham
Shayari nazm jo dil ki deewaron main uthte hain
Wo kagazon par hi to utare jaate hain
Shunya bhar k patle kagaz k panne
Kya kuch nhi karjaate
Kbhi satta kbhi siyasat kbhi rangmanch
Sabka hi to rishta hai kagaz se
Chitrakar k chitra
Kavi ki kavitayain
Rangmanch ki kahani
Har bat dil-o-dimag k safar ki
Sabse pehle in Kagazon main hi sameta jata hai
Zindagi k har rang to ham bhar dete hain
Unse judi unse mili khushboo sahit
Phir in kagazon ko mamuli kehna kisi bhi lihaz se jayaz kahan hai
Ye kagaz hi to hain
Jo ghar k toote rishton
Desh k toote rishton
Har prakar k rishton main
Samjhawta karate hain
Sulah ki ya phir se pyar ki umeed na k barar hi kyun na ho
Muh se kahi bat par jo bharosa nhi krte
Wo kagazon par likhi baaton par
Kitni aasani se aankhain moond kar vishwas krlete hain
Phir Kagaz kahan mamuli hain
Acchi khasi taqat hai kagaz main
Bas syahi ka sath zaroori hai
Kagaz ka sindoor jo hai...

Tuesday, February 9, 2016
Topic(s) of this poem: life,papers
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 17 February 2016

Kagaz ki gatha badi khubi se likh di aapne...............You are fantastic poetess...I love the way you write, Thanks for sharing, Abhi....100+++

0 0 Reply
Abhilasha Bhatt 17 February 2016

Thank you so much for your comments sir.... :)

0 0
Mithilesh Yadav 09 February 2016

Phir Kagaz kahan mamuli hain Acchi khasi taqat hai kagaz main Bas syahi ka sath zaroori hai Kagaz ka sindoor jo hai... Loved the ending Also a very new view every one talks of pen but u really touched a excellent topic...... Emotional princess

0 0 Reply
Souren Mondal 09 February 2016

'Mann k mutabik likha mann k kahe rang se Jab mann kia katron main bikher dia Kbhi un tukdon ko kisi ne joda Kbhi kachra jaan kar faink dia' Bohoot hi khoobsurat lafz hai Abhilasha.. Sukhriya..

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success