Kaho کہو Poem by Akhtar Jawad

Kaho کہو

Rating: 5.0

کہوکہو Kaho
تھوڑا سا اور پاس آ کے کہو پھر یہی بات مسکرا کے کہو
اپنی گردن زرا جھکا کے کہو بس نظر سے نظر ملا کے کہو
میں پڑھوں تو یہ انکھی کیا ھے چلو آنکھوں میں تم چھپا کے کہو
جاؤ کھڑکی سے تاروں کو دیکھو اچھا تم چاند کو سنا کے کہو
اپنی کوئ غزل سناؤ زرا ان ہواؤں سے گنگنا کے کہو
خوشبو پھیلی سفید پھولوں کی گل شبو کے پاس جا کے کہو
موتیا ہو چنبیلی یا جوہی سو رہی ھوں تو تم جگا کے کہو
تم تو خود رات رانی ہو جاناں اپنی خوشبو میں کسمسا کے
Thoda sa aor pas aa ke kaho
Phir yehi bat muskura ke kaho
Apni garden zara jhuka ke kaho
Bas nazar se nazar mila ke kaho
MaiN padhooN to yeh ankahi keya hay
Chalo aankhoN meN tum chupa ke kaho
Jao khidki se taroN ko dekho
Acha tum chand ko suna ke kaho
Apni koi ghazal sunao zara
In hawaoN se gunguna ke kaho
Khushboo phaili sufaid phooloN ki
Gule shabbo ke pas ja ke kaho
Motia ho chanbeli ya juhi
So rahi hoN to tum jaga ke kaho
Tum to khud rat rani ho janaN
Apni khusboo meN kasmasa ke kaho

Friday, July 14, 2017
Topic(s) of this poem: flowers
COMMENTS OF THE POEM
Kumarmani Mahakul 19 July 2017

Apni garden zara jhuka ke kaho Bas nazar se nazar mila ke kaho... nazar se nazar mila ke dikho bhitarme kya hai. Very interesting write. Beautiful poem on flowers related to life. Thanks. ..10

0 0 Reply

Apni koi ghazal sunao zara In hawaoN se gunguna ke kaho Khushboo phaili sufaid phooloN ki Kya baat hai, Akhtar Sahab! Bahot Sundar! 100+++

1 0 Reply
Khalida Bano Ali 15 July 2017

Bahut Khoobsoorat, , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , , ,

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success