Kaise Hua- Ghazal Poem by M. Asim Nehal

Kaise Hua- Ghazal

Rating: 3.0

Teri ankhon ne ek khwab dekha hai per tu soya tha kahan
Jahan Khoye hue rehte hain sabhi tu jaaGta kaise raha wahan

Wo daR hai khas jahan hawa bhi ijazat maang ke jaati hai
Koi nahi ja saka ab tak Tu pahucha kaise wahan

Ujale bhi jisse roshni ki bheek maange
Andheron ne kaise tujhko bhej diya wahan

Daman mein uske waise ' Aashi ' koi kami nahi hai
Phir usne kaise tujhko Khali haath lauta diya Wahan..

Thursday, December 27, 2018
Topic(s) of this poem: life
COMMENTS OF THE POEM
Khalida Bano Ali 25 January 2019

Khoobsoorat ghazal, acha kalam.

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 27 December 2018

The dream seen by eyes is definitely an amazing dream that has flown as a poem here. This is excellently penned.

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success